#################################
He asks me ki site ka naam to batao
Hosh main jo lade wo jam to batao
Are khudgarz kabhi kadar karo meri kala ki
Kis shahar se ho aayee .. zara naam to batao ..
###################
Kabhi sheron ko bhi shikar sikhaya kissi ne ?
Kabhi mausamon ko bahar sikhaya kissi ne ?
Hum zabaaan main poem likha ke laaye the ?
Kya Kabhi ranjhe ko pyar sikhaya kissi ne
########################
Dhakke kha kha ke .. jhonke bahna seekh jaati hain
Doosron ko dekh kar , panchi udna seekh jaate hain
Abe Hum to khair thoda bahut padh likh lete the pahle se
Warna maar kha-kha kar to unpadh bhi likhna seekh jate hain ..
###############
Mana ki zigar wale toofan se nahin darte
Khate hain zakhm dil par but aah nahin bharte
Yeh doston ki aadaten bhi kaisi ho gayee hain
Ek coder shayari kar raha hai , par wah waah nahin karte
#############################
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment