Friday, October 10, 2008

Tanhai main doobe doobe

Tanhayee main doobe doobe ,
aankhon main nami mahsoos hui
tanhe sunsaan safar main aaj ,
saathi ki kami mahsoos hui
tera aana mere jeevan main ,
ek nayee subah ke jaisa tha
subah ki os ki boondon se ,
bhegi yeh zami mahsoos hui

garmiyon main baarish main
bheegne ka chota sa ek sapna paala
loo se tapte is mausam main ,
chahat ka ek beez laga daala
beete lamhe ,badla mausam
phoolon main khushboo na aayee
patjhad main sookhe patton ko ,
hawaon ne door udaa daala

na jaane kaisa rishta tha ,
na jaane kyon tum aayee the
mere jeewan main jaane kyon
tumne yeh khwab sazaaye the
naadaan nahin tha main shayad ,
chahat dil ki mazboori thi
ghanghor toofani raton main maine kyon
kamzor se deep jalaye the ?????

Umeed ki Roshni ( the Ray of Hope )

umeed ki roshni raahon main
hai khushi chupi har aahon main
aashaon ka daaman sath liye
dil hai manzil ki chahon main

raahen kuch peeche chhoot gayee
kuch aage aati jaayenhi
kabhi manzil peeche aayegi
kabhi door talak daudayegi
yah raah hai kuch anjaan magar
hai khushi chhupi iski chhaon main

yaaron ki yaari saath rahe ,
haathon main ummeed ka haath rahe
mushkil nahi hai koi manzil
agar dil main jeete jazbaat rahen

toofaon ka seena cheerne main
thoda sa dard to hoga hi
har dard dhouwaan ban ud jaayega
khushion ki mulayam bahon main

umeed ki roshni raahon main
hai khushi chupi har aahon main
aashaon ka daaman sath liye
dil hai manzil ki chahon main