Friday, October 10, 2008

Umeed ki Roshni ( the Ray of Hope )

umeed ki roshni raahon main
hai khushi chupi har aahon main
aashaon ka daaman sath liye
dil hai manzil ki chahon main

raahen kuch peeche chhoot gayee
kuch aage aati jaayenhi
kabhi manzil peeche aayegi
kabhi door talak daudayegi
yah raah hai kuch anjaan magar
hai khushi chhupi iski chhaon main

yaaron ki yaari saath rahe ,
haathon main ummeed ka haath rahe
mushkil nahi hai koi manzil
agar dil main jeete jazbaat rahen

toofaon ka seena cheerne main
thoda sa dard to hoga hi
har dard dhouwaan ban ud jaayega
khushion ki mulayam bahon main

umeed ki roshni raahon main
hai khushi chupi har aahon main
aashaon ka daaman sath liye
dil hai manzil ki chahon main

7 comments:

Azad Ali Shah said...

Wah bhai kya baat..hain...Itna writing talent bhi hain..maine socha nahin dost...

Unknown said...

wah wah miya.......
Subhan allah............

Aashu said...

yarro ki yaari saath rahe.hmm
bas dil mai jeete jazbaat raheee..........
:)
good hai

pooja said...

Inspiration is a thing this guy is an expert .. specially frnds importance part is
toofaon ka seena cheerne main
thoda sa dard to hoga hi
har dard dhouwaan ban ud jaayega
khushion ki mulayam bahon main ..

really good veer ras is dere [:)]

Unknown said...

wah wah wah.

Arz kiya hai : "is kavita ki main kya daad doon"
Irshad Irshad : "is kavita ki main kya daad doon"
Wah Wah, Jii karta hai $%@#@%$%^%^&

:)

Rati Saurabh said...

Straight from the heart...
too good man
~Rati Saurabh

Kaushal said...

Yaaron ki yaari saath rahe ..
Pandey ki kavitayein padte rahein..
Inspiration milti rahein..

Jyada samajh nahin aaya but had a feel good factor :)

Good going !!